Hansi vadion ne najara buna hai
baharon ki chunri mein khud ko dhaka hai
mehekti fizaein falak choomti hain
dharti-gagan ka milan ho chala hai
haath tune jo mere haath mein rakha hai
do kadam saath chalne ka vaada kiya hai
zulfon se teri ulajhti hawaein
muhabbat ka dekho chala silsila hai
jhoom kar gulon ne pavan se kaha hai
do dilon ka dekho mita faasla hai
thirakti hui naachti chandni ko
najaron ne aagosh mein bhar liya hai
Aag thodi si hai aur thoda dhuan hai
sama aashqui ka bandhne laga hai
laga le tu jaa kar gale se usse ab
jisse tune pehle hi dil de diya hai
Hansi vadion ne nazara buna hai
hansi vadion ne nazara buna hai
No comments:
Post a Comment