Monday, December 16, 2024

Atak latak


Mein jahan atka hua tha

jis daal pe latka hua tha

ab daal meine chhod di

nadi samay ki mod di


log kyaa kahenge ki shakh par

salon saal tanga raha

ek chhote se lafz ka 

bebas bandi bana raha


ek galtion ki tehni thi

sab karte hain, meine bhi kin

us par bhi jhoola jhula khoob

latka raha jaise langoor


beeti asaphaltaon ki moti daal par

patang meri phansi gayi

jab bhi manjha kheechta 

vo aur saali fat gayi


jee saka na is liye

ke marne se darta raha

udaan yun na bhar saka  

ke girne se darta raha


bas bahut ho gaya

ab ye sab na jhelunga

chahe kuch bhi ho jaye ab

front foot par khelunga


chhod di vo daal ab

jis daal pe tha latka hua

nikal gaya us keenchad

jis mein tha dhansa hua


Mein jahan atka hua tha

jis daal pe latka hua tha

ab daal meine chhod di

nadi samay ki mod di

No comments:

Post a Comment