Bin baat kal machchar
ne meri jangh nauch li
meine bhi uski khopdi
pe taal thok di
Dekhne mein chhota hai
par hai bada kameen
uske zalim-pan ka bas
hota nahin yakeen
bhin bhina ke gaal pe
aisa bawalaa kare
khud hi ko aaj kar rahe hain
thappad hum rasid
dunk hai bareek aur hai
bhagya ka dhani
dhuan kar kar ke khud hum mar gaye
par vo mara nahin
kar sakta akela khaat khadi
par hai itna kamjard
bana ke jhund hamla kare
zalim, bereham. bedard
No comments:
Post a Comment